Tuesday, August 7, 2007

Humne Dekha Hai


Chamakte tare ko pal me tutte dekha hai,
Chanakte payel ko pal me bikherte dekha hai,
Kal de rahein the jo sabasi hamari kaamyabi pe,
Ek nakami pe unhe muh pherte dekha hai.

Mohhabat se mohhabat kar ke dekha hai,
Jaan pe jaan luta ke dekha hai,
Kal baste the jo es dil me,
Aaj unhi ko dil tor ke jaate dekha hai.

Unke gamo ko apne aankho se baha ke dekha hai,
Apni khusi unke hoto pe bikher ke dekha hai,
Jab aaye hamare daman me kaante, to
Bari wafha se unko daman bachate huea dekha hai.

Mujhe Bhig Jane Do


Girti hui BARISH ki budon ko apne baho me samet lene do,
Chut gaye hai jo suhane pal es bhagam bhag me,
Aaj un suhane pal ko ek baar phirse je lene do..
Chor do es man ko ese ek baar phirse bhig jane do….

Aag jo sine may jal rahi hai..Use or Bhadak ne do
Tapte badanpe Barish ki bunde ek bar phirse girne do...
Chor do es man ko ese ek baar phirse bhig jane do….

Swapno ke gharonde jo banyen they kabhi en khuli aankho ke palko pe ...
Uspe jami dhulko aaj es barish me beh jane do...
Chor do es man ko ese ek baar phirse bhig jane do….

Aaj apne armano ko ek kagaj me mujhe sajane do....
Us kore kagaj kasti phirse mujhe bahane do....
Chor do es man ko ese ek baar phirse bhig jane do….

En aankho ke ashko ko barish ke bundo me chupa lene do...
Ha kuch pal ke lia hi sahi...
........es man ko ese ek baar phirse bhig jane do….